lahje aur aawaz mein rakkha jata hai ab to zahr alfaz mein rakkha jata hai mushkil hai ek baat hamare maslak ki apne aap ko raaz mein rakkha jata hai ek shoala rakhna hota hai sine mein ek shoala aawaz mein rakkha jata hai hum logon ko khwab dikha kar manzil ka raste ke aaghaz mein rakkha jata hai yahan to udte udte thak kar girne tak chidiya ko parwaz mein rakkha jata hai aakhir-e-shab jo khwab dikhai dete hon 'azhar' un ko raaz mein rakkha jata hai