lahje ka rang lafz ki khushbu bhi dekh le aa mujh se kar kalam mujhe tu bhi dekh le main chaudhwin ka chand samundar tera badan meri kashish ka bolta jadu bhi dekh le khulta hun tere rukh ki sajal chandni ke pas pahchan le mujhe meri khushbu bhi dekh le tu khar-zar aur main abr-e-barhana-pa mere safar ka karb kabhi tu bhi dekh le ek shab rida-e-abr se bahar nikal ke aa kis kis ko hai nigah pe qabu bhi dekh le mere lahu ki gunjti fariyaad par na ja aankhon mein apni tairte aansu bhi dekh le manzil pe sirf chalte hue chand hi na dekh chamke kahin jo rah mein jugnu bhi dekh le dast-e-saba ki theri hui loriyon se bach dasht-e-wafa mein chalti hui lu bhi dekh le ghere mein aasman ne tujhe le liya to kya is dam se farar ka pahlu bhi dekh le sachchai ka alam tu uthata to hai magar katte hain is jihad mein bazu bhi dekh le barham hai roz-o-shab ka mizaj-e-sukun-pasand bikhra diye hain waqt ne gesu bhi dekh le gunjaan paniyon pe barasne se faeda ai abr tishnagan-e-lab-e-ju bhi dekh le 'zulfi' jo mere tarz-e-ada ka asir hai wo kash mere sher ka jadu bhi dekh le