lahr us aankh mein lahrai jo be-zari ki hum ne hanste hue phir kuch ki tayyari ki mujh ko jis raat samundar ne utara khud mein main ne us raat bhi sahil ki taraf-dari ki hum ne girye ko bhi aadab ke andar rakkha apne aasab pe wahshat na kabhi tari ki naqsh-e-pa dhundhta phirta hai sahar ka wo bhi jis pe ek raat bhi guzri nahin bedari ki raushni parda-e-mizgan se chhini jati hai kis ne ye khwab-gah-e-dil mein ziya-bari ki dil mein bhar laya hun mahrumi-e-duniya 'sajjad' aaj bazar se phir main ne kharidari ki