lahraata hai khwab sa aanchal aur main likhta jata hun palken nind se bojhal aur main likhta jata hun jaise mere kan mein koi chupke chupke kahta hai ishq junun hai ishq hai pagal aur main likhta jata hun chhoti chhoti baat pe us ki aankhen bhar bhar aati hain phailta rahta hai phir kajal aur main likhta jata hun aankh mein us ke aks ki aahat dastak deti rahti hai bhar jati hai ashk se chhagal aur main likhta jata hun maddham maddham sans ki khush-bu mithe mithe dard ki aanch rah rah ke karti hai bekal aur main likhta jata hun dhime suron mein dard ka panchhi apni dhun mein gata hai pyasi ruhen pyas ka jangal aur main likhta jata hun us ke pyar ki bunden tip tip dil mein girti rahti hain narm gudaz o shokh o chanchal aur main likhta jata hun