lahron ke musafir the kinaron ke makin the

lahron ke musafir the kinaron ke makin the
hum tira-naward aise ki subhon ke makin the

ashkon ke libaade mein nikal aae the ghar se
kuchh khwab pareshan si aankhon ke makin the

kuchh log qabilon ki riwayat se nikle
wo log jo sanglakh zaminon ke makin the

is shahr ne fitrat pe bada zulm kiya hai
ek chand tha kuchh phul jo jhilon ke makin the

jiddat bhari duniya mein khade soch rahe hain
tab khub the jab hum sabhi ghaaron ke makin the

hum log sitaron ko samajhte rahe 'sabir'
hum aise ki gum-gashta jaziron ke makin the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close