lahron mein bhanwar niklenge mehwar na milega

lahron mein bhanwar niklenge mehwar na milega
har mauj mein pani bhi barabar na milega

gir jati hai roz ek parat rakh badan se
jalne ka saman phir bhi kahin par na milega

chashmak bhi jo rakhni hai to chauthai zamin se
shorida zaban kaise samundar na milega

har samt dimaghon ke tarangon ka hai shab-khun
taknik ki is jang mein lashkar na milega

raste hi mein jal bujhti hai mahtabi-e-anjum
sabit ko to sayyar ka zewar na milega

karte hain hifazat sabhi diwar-e-ana ki
rakhne ke barabar bhi kahin dar na milega

kuza-gar-e-qamus kahan 'zeb' sa 'tafzil'
simta hua kaghaz pe samundar na milega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close