lahu hamari jabin ka kisi ke chehre par ye rup-ras bhi sahi zindagi ke chehre par abhi ye zakhm-e-masarrat hai na-shagufta sa chhidak do mere kuchh aansu hansi ke chehre par nawa ki gard hun mujh ko samet kar le ja bikhar na jaun kahin khamushi ke chehre par is inqilab pe kis ki nazar gai hogi ghamon ki dhup khili hai khushi ke chehre par hazimaton ke kis amboh mein hain gum hum log koi waqar nahin aadmi ke chehre par kharash-e-dard ka aaina hun mujhe dekho ye bankpan bhi kahan hai kisi ke chehre par bahut haris hain dida-waran-e-chehra 'faza' naqab dal ke chal aagahi ke chehre par