mata-e-be-baha aansu zamin mein bo diya tha palat kar jab tera ghar main ne dekha ro diya tha asa dar dast hun us din se binai nahin hai sitara aankh mein aaya tha main ne kho diya tha zamane husn sarwat hech sab us ke muqabil tahi-kesa ko us pahli nazar ne jo diya tha paron ki arghawani chhanw phailai thi sar par bahishti nahr ka pani musafir ko diya tha bas ek qindil thi jalti hui apne lahu mein yahi nazrana dena tha haram mein so diya tha