lahu ka hunar aazmate rahenge charagh aandhiyon mein jalate rahenge zamana sitam hum pe dhata rahega har ek gham pe hum muskuraate rahenge saman ho khushi ka ya gham ka ho mausam hum apna fasana sunate rahenge rahenge rawan meri aankhon se aansu sitare yunhi jhilmilate rahenge na badlegi jab tak faza gulsitan ki hum apne lahu mein nahate rahenge musallat kahan tak rahenge andhere mere zakhm-e-dil jagmagate rahenge mohabbat ke dushman hain jitne bhi 'najma' unhen aaina hum dikhate rahenge