gudaz-e-dil mata-e-chashm-e-nam tak bech dete hain ye ahl-e-hosh ulfat ka bharam tak bech dete hain munasib dam lag jaen to khuban-e-pari-chehra badan ke loch aur zulfon ke kham tak bech dete hain ye kaise pasban-e-gulsitan hain jo bahaaron mein gulon ka rang-o-bu shakhon ka tum tak bech dete hain tijarat par yahan buniyaad hai aapas ke rishton ki yahan ahl-e-karam dast-e-karam tak bech dete hain ab is se badh ke fikr-o-zehn ki tauhin kya hogi ki arbab-e-qalam apne qalam tak bech dete hain waqar-e-mai-kada par jaan de dete hain hum 'maikash' haram wale to namus-e-haram tak bech dete hain