lahu ka rang liye abr aasman mein hai barasta khun har ek samt is jahan mein hai khurachta mang ka sindur hai jo shakhs yahan usi ko dekhiye sarkar ki aman mein hai kabhi to hoga tumhaara bhi khatma zalim faza mein ghol ke tu zahr kis guman mein hai khuda ko bantte jab tak rahenge log yahan mitega fasla kaise jo darmiyan mein hai bana zamana hai dushman mera qadam-ba-qadam na jaane kaun sa kanta meri zaban mein hai samajh mein aaegi 'iqbaal' kya zaban teri abhi to qaum ka tair kisi udan mein hai