zinat hun anguThi ki na loket mein juDa hun

zinat hun anguthi ki na loket mein juda hun
main ek nagina hun pe mitti mein pada hun

kyun zat ke gumbad mein har ek shakhs hua qaid
kab se inhin sochon ke dorahe pe khada hun

tum sath mera aa ke jahan chhod gae the
main aaj bhi tanha usi sangam pe khada hun

mauqif se main hat jaun ye mumkin nahin hargiz
patthar ki tarah dharti ke sine pe gada hun

barsaen 'zuhair' ahl-e-jahan sang to kya hai
main kanch ka pyala hun na mitti ka ghada hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close