lahu ka zaiqa hi jab zaban tak na gaya to kya ajab hai jo zakhmon pe dhyan tak na gaya wo ek wahm jo sarmaya-e-faqiri tha yaqin mein is tarah badla guman tak na gaya badal gai kahin raste mein kimiya us ki utha ghubar magar aasman tak na gaya ana-parast the aise badan to phir hai badan hamara saya kabhi saeban tak na gaya bata ke rah gae sab daw-pech sahil se hawa ke sath koi baadban tak na gaya khuda ka shukr ki mere hi jurm kafi the faqih-e-shahr mere khandan tak na gaya hamare tir chhupae nahin gae the 'munir' hamara hat hi apni kaman tak na gaya