sae jo sang-e-rah the raste se haT gae

sae jo sang-e-rah the raste se hat gae
dil jal utha to khud hi andhere simat gae

din bhar jale jo dhup ke bistar pe dosto
suraj chhupa to chadar-e-shab mein simat gae

wo karb tha ki dil ka lahu aanch de utha
aisi hawa chali ki gareban phat gae

wo fikr thi ki dida-o-dil muzmahil hue
wo gard thi ki ghar ke dar-o-baam at gae

aai jo mauj panw zamin par na jam sake
dariya chadha to kitne safine ulat gae

phaila ghubar-e-gham to kahin munh chhupa liya
aandhi uthi to ghar ke sutun se lipat gae

kahte the jis ko qurb wahi fasla bana
badla jo rukh nadi ne kai shahr kat gae

gumnam the to sab ki taraf dekhte the hum
shohrat mili to apni khudi mein simat gae

dastak hui to dil ka daricha na khul saka
aae aur aa ke yaad ke jhonke palat gae

main khud hi apni rah ka patthar bana raha
har chand aap bhi mere raste se hat gae

dil ko kisi ki yaad ka gham chatta raha
yun meri zindagi ke kai sal ghat gae

zindan-e-gham ka dhyan bhi khanjar se kam na tha
zanjir ki khanak se mere panw kat gae

riste rahenge dida-e-hasrat se umr bhar
'zulfi' jo zakhm pa-e-talab se chimat gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close