lahu ki aag agar jalti rahegi hamari dal bhi galti rahegi bharosa hai agar duniya ko hum par hamare rang mein dhalti rahegi mohabbat hai agar sachchi hamari mata-e-khwab par palti rahegi chaman ab der tak raqsan rahega hawa ab der tak chalti rahegi kahan aaegi apne waqt par maut wo agle roz par talti rahegi jahan mein surkh-ru ho kar bhi 'sajid' wo hathon ko yunhi malti rahegi