lahu ki bebasi ko yun na ruswa chhod dena tha kuchh is mein ghairat-e-jaan ka hawala chhod dena tha main aainon mein khud ko dhundhta hun khud nahin milta mere chehron mein koi mera chehra chhod dena tha ajab ghar hain ki jin mein koi khidki hai na darwaza hawa ke aane jaane ka to rasta chhod dena tha abas sahil pe tum lahron ko kyun gin rahe yunhi jo khwahish motiyon ki thi kinara chhod dena tha unhen to karbala ki tishnagi aawaz deti thi wo dariya the unhen shahr-e-madina chhod dena tha fasadon ke zamane mein sukun achchha nahin lagta kisi afwah ka koi shagufa chhod dena tha numud-o-nam ne kis ko kahan par kab sukun bakhsha miyan is ke liye shohrat ka sauda chhod dena tha