kahan se dhundh ke laun purane khwab aankhon mein koi manzar nahin tikta meri sairab aankhon mein na ninden thin na aansu the na khushiyan thin magar tu tha ki ab tu bhi nahin aata hai in be-khwab aankhon mein kisi bhi aaine mein ab mera chehra nahin dikhta mera chehra nikalta hai inhin betab aankhon mein jise tamir ka dar hai chala jae wo bin bole jo hain tayyar sach ko wo rahenge khwab aankhon mein dafa kar ishq ka charcha kahin tu bhi na bah jae abhi to bandh ke rakkhen hain sab sailab aankhon mein