lahu mein apne sar-e-sham jal bujha suraj ek istiara meri aarzu ka tha suraj hai umr-bhar ki rifaqat magar mere gham se na aashna hain sitare na aashna suraj ek aisa daur bhi guzra teri lagan mein ki jab meri jabin pe sitare the zer-e-pa suraj ye mujh ko kaise andheron mein la ke chhod gaya mere jahan-e-tarab ka gurez pa suraj suna hai aaine suraj ke hain mah-o-parwin main sochta hun ki hai kis ka aaina suraj hamare ahd mein min-jumla-e-nujum sahi raha hai apne zamane mein dewta suraj shab-e-siyah ki pur-asrar kar-gahon mein sahar tarash rahi hai koi naya suraj har ek zarre mein hai baz-gasht-e-nur-e-azal zamin ki khak mein zam hain hazar-ha suraj