lahu mein dubta manzar khilaf rahta hai amir-e-shahr ka khanjar khilaf rahta hai yazid-e-waqt ko duniya qubul kar le magar sinan ki nok pe ek sar khilaf rahta hai sulagti pyas ne kar li hai morcha-bandi isi khata pe samundar khilaf rahta hai mere usul ke bachche bhi ehtajaji hain zara jhukun to mera ghar khilaf rahta hai main chahta hun ki dushman ko surkh-ru kar dun magar safed kabutar khilaf rahta hai hai e'timad mujhe phawdon ki taqat par bas itni baat se patthar khilaf rahta hai ajab tarah ki tabiat mili hai khud-sar ko ki do jahan se 'akbar' khilaf rahta hai