kuchh sae se har lahza kisi samt rawan hain is shahr mein warna na makin hain na makan hain hum khud se juda hauke tujhe dhundne nikle bikhre hain ab aise ki yahan hain na wahan hain jati hain tere ghar ko sabhi shahr ki rahen lagta hai ki sab log teri samt rawan hain ai mauja-e-awara kabhi hum se bhi takra ek umr se hum bhi sar-e-sahil nigaran hain simte the kabhi hum to samae sar-e-mizhgan phaile hain ab aise ki karan ta-ba-karan hain tu dhund hamein waqt ki diwar ke us par hum dur bahut dur ki manzil ka nishan hain ek din tere aanchal ki hawa ban ke ude the us din se zamane ki nigahon pe garan hain todo na hamare liye aawaz ka aahang hum log to ek dubte lamhe ki fughan hain wo jin se farozan hua ek aalam-e-imkan wo chand-sifat log 'rashid' aaj kahan hain