lahu mein tairte phirte malal se kuchh hain kabhi suno to dilon mein sawal se kuchh hain main khud bhi dub raha hun har ek sitare mein ki ye charagh mere hasb-e-haal se kuchh hain gham-e-firaq se ek pal nazar nahin hatti is aaine mein tere khadd-o-khal se kuchh hain ek aur mauj ki ai sail-e-ishtibah abhi hamari kisht-e-yaqin mein khayal se kuchh hain tere firaq ki sadiyan tere visal ke pal shumar-e-umr mein ye mah o sal se kuchh hain