lahu mein tar hai zamane ka intikhab wajud salib-e-waqt pe aaya hai kaamyab wajud hasad ki aag mein jalte raho to jalte raho chaman ki khak mein hoga mera gulab wajud wajud-e-khak hi to khak ki amanat hai tumhaara khauf rahega mera hijab wajud ye tutta nahin jhukta nahin badalta nahin tumhaare sare sawalon ka hai jawab wajud tumhaare din mein mera nam hi to suraj hai tumhaari raat mein 'manzar' hai mahtab wajud