lahu na aankh se tapka na zakhm-e-dil ubhre bhari bahaar ke ye din bahut giran guzre wo pur-fareb nigahen wo e'timad ki maut na jaane zehn pe mazi ke naqsh kyon ubhre hasin lamhe meri zindagi ke lauta de jo aarzu mein kate teri yaad mein guzre junun-nawaz nigahen hain rahnuma apni na jaane qafila-e-zindagi kahan thahre sawal-e-tark-e-wafa tum ne khud uthaya tha udas kyon hain nigahen ye baal yun bikhre na jaane aaj hi kyon dil ki nabz dub gai tere dayar se hum yun to barha guzre yahi hai jaan-e-mohabbat yahi shuur-e-wafa zaban khamosh nigahon pe laj ke pahre qadam qadam pe fasane banenge ai 'mahir' yahan na aankh hi bhige na munh ka rang utre