lahu se uth ke ghataon ke dil baraste hain badan chhaton ki tarah dhup mein jhulaste hain hum aise ped hain jo chhanw bandh kar rakh den shadid dhup mein khud sae ko taraste hain har ek jism ke chaaron taraf samundar hai yahan ajib jaziron mein log baste hain sabhi ko dhun hai ki shishe ke baam-o-dar hon magar ye dekhte nahin patthar abhi baraste hain baha ke le gaya sailab raste jin ke wo shahr apne khayalon mein ab bhi baste hain maal kya hai ujalon ke un dafinon ka jinhen chhuen to andheron ke nag daste hain ajib log hain kaghaz ki kashtiyan gadh ke samundaron ki bala-kheziyon pe hanste hain