lahu tezab karna chahta hai badan ek aag dariya chahta hai mayassar se ziyaada chahta hai samundar jaise dariya chahta hai ise bhi sans lene de ki har-dam badan bahar nikalna chahta hai mujhe bilkul ye andaza nahin tha wo ab rasta badalna chahta hai nai zanjir phailae hai banhen koi aazad hona chahta hai ruten badlin nae phal-phul aae magar dil sab purana chahta hai sukun kahiye jise hai raste mein do ek pal hi mein aaya chahta hai hawa bhi chahiye aur raushni bhi har ek hujra daricha chahta hai bagulon se bhara hai dasht sara yahi to roz sahra chahta hai