hui dil tutne par is tarah dil se fughan paida ki jaise shama ke bujhne se hota hai dhuan paida raha sabit-qadam yun hi agar azm-e-safar apna karegi khud rah-e-dushwar hi aasaniyan paida har ek tamir khud apni tabahi sath lati hai na girti barq gar hoti na shakh-e-ashiyan paida meri khwahish ki ek sajda mita de nam-e-peshani teri khwahish ho peshani pe sajdon ka nishan paida wo jin ki maut par rote hain barson jam-o-paimana ab aise baada-kash hote hain ai saqi kahan paida zarurat kya karen hum justaju-e-astan ai dil salamat zauq-e-sajda aap hoga aastan paida nazar mein jin ki rangini tabiat mein hai ranai wo kar lete hain 'fazil' dasht mein bhi gulistan paida