lai nahin payam koi zulf-e-yar se

lai nahin payam koi zulf-e-yar se
mujh ko shikayaten hain nasim-e-bahaar se

khela ho jo daraazi-e-gesu-e-yar se
wo kya darega tul-e-shab-e-intizar se

aahista ai nasim ki ye zindagi meri
milti hui hai sham-e-sar-e-rah-guzar se

mera hi ek aks hai kya tur kya kalim
dekhe koi mujhe nigah-e-e'tibar se

ek dagh hi sahi thahar ai marg-e-na-gahan
le jaen kuchh to aalam-e-na-paedar se

mujh ko mitae gardish-e-lail-o-nahaar kya
bahar hai ishq gardish-e-lail-o-nahaar se

wo dil ke aaine mein rahe aur meri nazar
aage badhi na aaina-e-e'tibar se

hum be-khudan-e-ishq se kya pursish-e-bahaar
puchho hamare pairahan-e-tar-tar se

meri tarah unhen bhi na ruswa kare 'zafar'
darta hun apne nala-e-be-ikhtiyar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close