laila ka agar mujh ko kirdar mila hota majnun sa kahani ko aadhaar mila hota sahra mein nikal jata dariya bhi sarabon se gar kalpana ko meri aakar mila hota pal bhar ki mohabbat mein jaan tak bhi main de deti afsos nahin hota gar pyar mila hota hoti na maha-bhaarat ya koi baghawat phir haqdar ko jo us ka adhikar mila hota ayyash amiron ke ladke na bigadte gar aurat ko na phir koi bazar mila hota bhuke na bhatakte phir din raat parinde ye jo in ko shajar koi phaldar mila hota main nur-jahan hoti us daur ki ai 'sima' gar mujh ko jahangiri darbar mila hota