dard ki khushbu se sara ghar moattar ho gaya zakhm kha kha kar badan phulon ka paikar ho gaya mail-e-parwaz har lahza hai murgh-e-justuju main jo sidhi par chadha wo aur upar ho gaya gauhar-e-ummid laen kis athah mein dub kar hum jo ghota-zan hue gahra samundar ho gaya tirchhe suraj ki shuaen de gain ek ham-safar mera saya hi mere qad ke barabar ho gaya hum shafaq ko dekh kar tarikiyon mein kho gae aag chhat par thi dhuan kamre ke andar ho gaya ped par baithe parindon par guman patton ka tha dam-zadan mein aankh se ojhal wo manzar ho gaya subh ka aaghaz tha aur chehre par thi gard-e-shab phul ki surat shagufta main naha kar ho gaya main samajhta tha taaqub mein faqat hain wahme laut kar dekha magar jis ne bhi patthar ho gaya sang pani mein gira kar dekh lo ubhregi lahr baat aisi thi ki main aape se bahar ho gaya jin darakhton ki ghani chhanw thi wo sab kat gae yun laga 'shahid' mujhe jaise main be-ghar ho gaya