laiq-e-did wo nazara tha lakh neze the sar hamara tha ek aandhi si kyun badan mein hai us ne shayad hamein pukara tha shukriya reshmi dilase ka tir to aap ne bhi mara tha baadban se ulajh gaya langar aur do hath par kinara tha sahibo baat dastaras ki thi ek jugnu tha ek sitara tha aasman bojh hi kuchh aisa hai sar jhukana kise gawara tha ab namak tak nahin hai zakhmon par doston se bada sahaara tha