parda hail jo tha kahan hai ab tera jalwa hi darmiyan hai ab shama kahti rahi jise shab bhar khatme par wo dastan hai ab meri nazron ki ek thakan ke siwa aur kya chiz aasman hai ab sabr ka mere imtihan to hua teri rahmat ka imtihan hai ab tu bhi meri tarah na ho nakaam fikr ye rab-e-do-jahan hai ab kaamyabi ke gur batane lagi ishq par aql mehrban hai ab 'mazhari' pesh-e-karwan tha kabhi 'mazhari' gard-e-karwan hai ab