lajyai se nazuk hai ai jaan badan tera ab chhu nahin sakte hum phula ye chaman tera aankhen teri nargis hain rukhsar tere gul hain chatwata hai honthon ko ye seb-e-zaqan tera nakhun tere suraj hain aur chand hatheli hai aaina-e-khud-rau hai shaffaf badan tera dandan tere moti hain khurshid sa matha hai dur jhadte hain baaton mein aisa hai dahan tera us se tujhe nafrat hai ghairon se mohabbat hai kab bhaega 'akhtar' ko ai jaan chalan tera