labaalab kar de ai saqi hai khali mera paimana salamat daur-e-gardun tak ye shisha aur ye mai-khana na puchho nam mujh wahshat-zada ka dasht-e-furqat mein sidi saudai majnun mast be-khud zar-o-diwana mujhe mushrik na samjho main muwahhid hun zamane mein tasawir-e-khayali se bhara hai mera but-khana hua matla jo mushrik mein to maghrib mein hua maqta liye phirte hain hum dosh-e-saba par bait ka khana urus-e-fikr meri aur dulhe se na zam hogi faqiri ki milegi bu jo joda hoga shahana bhala lahj-o-lahja istada kya bayan hoga qayamat tak to suniye baith kar ulfat ka afsana zaifi mein bhi lipti hai bala-e-shaeri mujh se na chutegi kabhi 'akhtar' qalam se mashq-e-tiflana