lakdi ki do mezen hain ek lohe ki almari hai ek shair ke kamre jaisi hum ne umr guzari hai ek salakhon wali khidki jhank rahi hai aangan mein diwaron par upar niche khwabon ki gul-kari hai manzar manzar bhig raha hai shahr ki khali sadkon par pakki nahr pe ganw ke ghode ki top sawari hai pyas bujhane aate hain dukh dard parinde raat gae khwab ka chashma phuta tha aankhon mein ab tak jari hai sanduq purani yaadon ka tala tod ke dekha to ek resham ki shaal mili hai nile rang ki sari hai waqt mile to gul-daste ka hath pakad kar aa jaana warna kahna kaam bahut hai aane mein dushwari hai