uDne ki zid to chhoD hawa ki hawas nahin

udne ki zid to chhod hawa ki hawas nahin
hum do parinde umr se ahl-e-qafas nahin

tere badan ke tab se hai darmiyan umas
lekin tujhe juda karun aisi umas nahin

hum la-makan hain kya jo tere dar pe hain khade
aur is qadar azab mein bhi tas se mas nahin

aisi siyah raat ke nindon se khauf ho
aisa safed khwab ke aankhon pe bas nahin

banhon mein dekhta hun teri main mera maqam
lekin mera maqam teri dastaras nahin

ai meri shairi ke hunar mujh ko yun na mar
ai aastin ke sanp mujhe aur das nahin

so is hisab se bhi hua sal bhar ka hijr
kahta hai aaega wo mera is baras nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close