lakh bahkae ye duniya ho gaya to ho gaya dil se jo ek bar mera ho gaya to ho gaya kyun nadamat ho mujhe la-ikhtiyari fel par main teri nazron mein ruswa ho gaya to ho gaya kam ziyaada ho to sakta hai magar chhutta nahin jis ko jo ek bar nashsha ho gaya to ho gaya dil bahut rota hai lekin us but-e-maghrur se munqat'a har ek rishta ho gaya to ho gaya muntaqil hota hai lekin wo kabhi marta nahin jo sada-e-kun se paida ho gaya to ho gaya apni marzi se yahan din katne ke jurm mein main agar duniya mein tanha ho gaya to ho gaya dekhta hai kaun 'babar' kis ka kya kirdar hai jis se jo mansub qissa ho gaya to ho gaya