ain-mumkin hai kisi tarz-e-ada mein aae qissa-e-dard-e-wafa saut-o-sada mein aae rut badalte hi nae rang ke manzar ubhre kuchh parinde bhi nai mauj-e-hawa mein aae hum to aaina-numa the hi safa-keshi mein nam kuchh aur bhi arbab-e-safa mein aae ishq ta-haal to matruk nahin ho paya inqilabaat bhi go rah-e-wafa mein aae kuchh gul-e-nilofari jhil ki tariki se apni danist mein aqlim-e-baqa mein aae kya kahen us ko tazadat-e-zamana ke siwa kitne darwesh the jo shahi qaba mein aae khwab aankhon mein liye hum bhi ba-taid-e-junun kaise ek jalwa-gah-e-khwab-numa mein aae shorish-e-ahd mein ye tazkira-e-ishq-e-wafa jaise naghma sa koi bang-e-dara mein aae khud ko gum kar ke kisi aur ke pa lene tak marhale aur bhi takmil-e-ana mein aae