lakh bahlaen kisi tarah bahalta hi nahin dil bhi lamhon ki tarah hai ki thaharta hi nahin ab ke mausam pe to jadu koi chalta hi nahin abr uthta hai magar khul ke barasta hi nahin koi khushbu na koi us ki kasak hai is mein us ke patthar se mere zakhm ka rishta hi nahin jitna suljhate hain utna hi ulajh jata hai masala zist ka ab mujh se sulajhta hi nahin aandhiyon ka karam-e-khas raha hai mujh par ab koi shoala nasheman pe lapakta hi nahin main bhi bik jata kabhi misr ki khatun ke hath qafila koi idhar ho ke nikalta hi nahin chup hai ab wo mere haalat ke pas-manzar mein ab mere sar koi ilzam wo dharta hi nahin jis mein khud-bini khud-arai-o-khuddari hai maslahat ke kisi sanche mein wo dhalta hi nahin ye haqiqat hai tere tark-e-talluq ki qasam khar ab koi mere dil mein khatakta hi nahin jaane kis manzil-e-mauhum pe aa pahunche hain rasta koi hamara yahan takta hi nahin kitne mansur hain kahne ko anal-haq kah den dar ki samt magar rukh koi karta hi nahin tir-o-talwar ka har zakhm sanwar sakta hai baat ka zakhm kisi haal mein bharta hi nahin ye mohabbat ka samundar wo samundar hai 'zuhur' dubne wala kisi waqt ubharta hi nahin