na thi did ki mujh ko tab awwal awwal ghazab tha kisi ka shabab awwal awwal kise tab-e-nazzara apne siwa thi hue the wo jab be-naqab awwal awwal hamein sab ne rah-e-mohabbat mein chhoda jo the ham-safar ham-rikab awwal awwal muqaddar usi ka hai qismat usi ki jo ho ishq mein kaamyab awwal awwal ye qismat hamari hai ai mah-e-khubi hue did se faizyab awwal awwal 'zuhur' aae duniya mein jab mulk-e-jaan se rahe khub khana-kharab awwal awwal