lakh dekhun tujhe phirti nahin niyyat meri dil hai qabu mein mera ab na tabiat meri aa ke pahlu mein mere baith main ho jaun nisar hai tamanna to yahi hai yahi hasrat meri dam-e-akhir tu mere pas bhala aa be-dard teri furqat mein koi dam mein hai rukhsat meri qabr par meri agar fatiha padhne ke liye wo jo aa jaen to tharra uthe turbat meri tum ko dekha karun har waqt sarapa hun fana karti rah rah ke taqaza hai ye haalat meri zinda dargor hun lekin mujhe zinda na samajh ek muddat jo yahi rah gai haalat meri kushta-e-naz hun jin ka hai unhin ka kaunain sarwat-e-jam se uthegi wo hai mayyat meri baad-e-murdan bhi main bimar-e-mohabbat hi rahun ta-qayamat na ho yarab kabhi sehat meri hech duniya hai zar-o-mal hai sab hech magar ek mohabbat teri 'mardan' hai ye daulat meri