musawwir apne tasawwur ka dhundhta hai dawam na jam-e-jam na visal-e-sanam na shohrat-o-nam hayat jabr-e-musalsal hai tu hai jabr-shikan har ek gam pe aazadgi ka tujh ko salam tasawwuraat ke phulon mein rang bharta hai haqiqaton ki kadi dhup deti hai inam sahar bhi hogi nasim-e-sahar bhi gaegi magar ye raat mohabbat charagh zahr ke jam sharab pi bhi to pi chashm-e-mast saqi se magar chadhae piya pe gham-e-hayat ke jam main apni shama jalata raha hun tauba par main apne shoale se hota raha hun garm-e-kalam usi se mere rag-o-pai mein aatish-e-sayyal usi se mere tasawwur ke kham mein mah-e-tamam