lakh jahan mein jhuton ki man-mani hai sachchai ki apni rit purani hai lab par aah-e-musalsal aankh mein pani hai tanhai ka har lamha nuqsani hai shor hamesha rahta hai is kuche mein dil hai ya sine mein ek zindani hai jis ko chahen be-izzat kar sakte hain aap bade hain aap ko ye aasani hai kamzoron par rahmat ban kar chha jao mera qaul nahin hukm-e-rabbani hai hum sab un ke daman se wabasta hain mushkil mein bhi hum ko ye aasani hai tujh ko zamana mujh se chhine na-mumkin tera mera rishta ruhani hai main bhi un ke maddahon mein shamil hun is duniya par meri bhi sultani hai dharti ambar yari us ki hai sab se 'majid' jis ko kahte hain sailani hai