nigahon se meri nigahen bachae chale aa rahe hain wo tufan uthae lahu dil ka ashkon mein kyun aa na jae kahan tak koi raaz-e-ulfat chhupae usi ki hai duniya usi ka zamana jo sab kuchh hata kar kabhi kuchh na pae abhi kuchh hai baqi nishan-e-nasheman kaho barq se aur abhi zulm dhae chale aaenge khud wo betab ho kar junun-e-mohabbat mera badh to jae nirale hain rasm-o-riwaj-e-mohabbat wahi par hota hai jo dub jae raha ek aalam na 'iqbaal' apna kabhi ro diye to kabhi muskurae