lakh khushki khet mein khaliyan mein maujud hai aas barish ki dil-e-dahqan mein maujud hai baat sab ke faede ki hai ye kaise man len jab ki dhamki aap ke elan mein maujud hai manzil-e-maqsud main us ki badaulat paunga ek adad jo hausla saman mein maujud hai zikr meri har ghazal mein chahe us ka ho na ho han magar ek do jagah diwan mein maujud hai fath ka elan mat karna ai zalim tab talak jab talak ek jang-ju maidan mein maujud hai jis ki khatir dar par duniya chadhati hai hamein wo bhi is jashn-e-azimushshan mein maujud hai aap ki aankhon se 'anjum' ho raha hai wo ayan jo takabbur aap ke ehsan mein maujud hai