main mil ka patthar na dagar dekh raha hun pairon pe jami gard-e-safar dekh raha hun tariki nazar aati hai kuchh logon ko lekin main haml mein is shab ke sahar dekh raha hun ye amn ki dharti hai magar aaj yahan par takrar ka aalam hai jidhar dekh raha hun waqif nahin hamsae ke ahwal se lekin t-v pe zamane ki khabar dekh raha hun udne ki hawas mein na kahin jaan ganwa de chyunti ke nikal aae hain par dekh raha hun peshani-e-hakim pe shikan aa gai 'anjum' mahkum ki aahon ka asar dekh raha hun