lakh mujhe dosh pe sar chahiye sail-e-bala ko mera ghar chahiye zad-e-safar se kahin katti hai rah dil mein faqat shauq-e-safar chahiye khair ho tabani-e-khurshid ki shab ke dularon ko sahar chahiye ab ye talab hai ki hawas chhodiye ped nahin mujh ko samar chahiye mangte hain wo bhi zamin se murad su-e-falak jin ki nazar chahiye ab unhen sahil na dubo de jinhen par utarne ko bhanwar chahiye mujh ko to hai khana-kharabi pasand aap kahen kis liye ghar chahiye mujh sa bhi mear-talab kaun hai dukh bhi mujhe koi amar chahiye kuchh nahin aata to khushamad hi sikh hath mein koi to hunar chahiye puchh to lun rahzan-e-waqt se meri kala ya mera sar chahiye tegh ki 'rashid' thi zarurat mujhe main ye samajhta tha sipar chahiye