islam aur kufr hamara hi nam hai kaba kunisht donon mein apna maqam hai ye ishq jis ka shor hai aalam mein hain hamin ye husn hum hain jis ki ye sab dhum dham hai ban kar sukhan zaban pe aalam ki hain hamin masruf apne zikr mein bas har ek dam hai dekho jis aankh mein to hamara hi nur hai har kan mein bhara ye hamara kalam hai jo kushtagan-e-marka-e-tegh-e-ishq hain un ke liye ye aalam-e-hasti dawam hai ku-e-sanam se hum ko sarokar hai faqat waiz teri bahisht ko apna salam hai 'asim' na chhodo daman-e-khadim-safi kabhun mamur jis ki faiz se har khas-o-am hai