laKHt-e-dil bikhra jidhar bhi naqsh-e-jaanan ban gaya

lakht-e-dil bikhra jidhar bhi naqsh-e-jaanan ban gaya
gham izafe ke liye jaise ki saman ban gaya

khat jigar ghayal kare aur phul dhae hai sitam
zakhm yani ek kurede ek namak-dan ban gaya

sirf ek hi dil mila tha ek sitam ye hi hua
aur phir ye bhi sitam wo hi pareshan ban gaya

dil karen dil main banaun nur se khurshed ke
kya musibat hai kahan se ab ye arman ban gaya

masala roenge kis ko kya karenge gham sabhi
is jahan mein 'git' gar ye ishq aasan ban gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close