us shokh se milte hi hui apni nazar tez hai mehr-e-darakhshan ki shuaon ka asar tez wo ped jo tezab se sairab hua tha us ped ka hone laga har ek samar tez wo manzil-e-maqsud pe pahunchega yaqinan jo rah mein chalta rahe be-khauf-o-khatar tez deta hai jidhar un ko mafad apna dikhai arbab-e-hawas shauq se badhte hain udhar tez be-nur na kar jae fasadat ki aandhi lau ghar ke charaghon ki zara aur bhi kar tez aasar qayamat ke nazar aate hain 'asi' is daur mein dekha gaya har ek bashar tez