lakht-e-jigar ko kyunkar mizhgan-e-tar sambhaale ye shakh wo nahin jo bar-e-samar sambhaale diwana ho ke koi phada kare gareban mumkin nahin ki daman wo be-khabar sambhaale talwar khinch kar wo khun-khwar hai ye kahta munh par jo khate darta ho wo sipar sambhaale takiye mein aadmi ko lazim kafan hai rakhna baitha rahe musafir rakht-e-safar sambhaale yak dam na nibhne deti un ki tunak-mizaji rakhte na hum tabiat apni agar sambhaale wo nakhl-e-khushk hun main is gulshan-e-jahan mein phirta hai baghban bhi mujh par tabar sambhaale har gam par khushi se waraftagi si hogi lana jawab-e-khat ko ai nama-bar sambhaale ya phir katar par us ke sayyaad ya chhuri pher be-baal-o-par ne tere phir baal-o-par sambhaale dard-e-firaq 'atish' tadpa raha hai hum ko ek hath dil sambhaale hai ek jigar sambhaale